Sahil, rait, samandar, lehrain,
Basti, jungle, sehra, darya,
Khushbu, mousam, phool, dareechay,
Baadal, suuraj, chaand, sitaray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...!
Khaab ki baatain, yaad k qissay,
Soch k pehlu, neend k lamhay,
Dard k aansu, chain k naghmay,
Urtay waqt k behtay dhaaray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...!
Rooh ki aahat, jism ki junbish,
Khoon ki gardish, saans ki larzish,
Aankh ka pani,
Chahat k unwaan ye saray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...!
Main andheri raat ka musafir karoon roshni ka intezaar kia??
Tay ker loon musafatain raat main sulaghtay din ka aitbar kya??
Mujhay rastay main nafratain mili or kuch phool bewafai k..
Main kia janoo kia hai muhabat kia samjhoon hai yeh pyar kya??
Main tanhaiyon main zinda hoon main perkatta parinda hoon..
Koi aa k mujhay bata jaey hota hai wisaal-e-yaar kya??
Koh-e-toor per to pohanch gaye sang leker kuch ahl-e-nazar..
Jis nazar ko taab-e-deedaar nahi woh nazar keray deedar kya??
Yeh rog ishq ka rog hai yeh saaz nahi yeh soz hai…
Is rog ki koi dawa nahi phir dawa keray beemaar kya??
Us ne jaan meri maang li sadqay main apnay pyaar k…
Yeh dum to usi humdum ka tha phir karta main inkaar kya??
Main thak ker baitha tha MEHRU ik shajar ki ghanni chaonwn main..
Jis ne tan man mera jala diya woh shajar tha saya daar kya??